Shahin Baag Ki Bilkis Dadi America Ki Time's Magazine, bilkis dadi, america time's magazine, narendra modi, sahin baag, shahin baag bilkis dadi,
Shahin Baag Ki Bilkis Dadi America Ki Time's Magazine Ke 100 PrabhavShali Logo Me
![]() |
Bilkis Dadi In America Time's Magazine |
Sahin Baag Ki Bilkis Dadi Ne Racha Itihas - America Ki Mashhur Time Magazine Me 100 Prabhawshali Logo Ki Suchi Me.
America ki mashhur Time Magazine Ne Duniya Ke 100 prabhavshali Logon ki Suchi Mein 82 saal ki Bilkis Bano ko jagha di hai. Bilkis bano ka naam Time Magazine Me Darj Huwa. Shaheen Bagh ilaake Mein 101 Dinon Tak dharne per Baithe the Bilkar Bano Ne yah Pradarshan Kendra Sarkar Ke vivadit nagrikta sanshodhan Kanoon ke khilaf Shuru kiya tha aur Dekhte hi Dekhte vah virodh Pradarshan Unka Chehra ban gai Thi.
America Time Magazine ki Suchi Mein Pradhanmantri Narendra Modi., actor Ayushmann Khurrana, Google ke CEO Sundar Pichai aur HIV shodhkarta professor Ravindra Gupta ka bhi naam hai. 82 sal ki bilkis Bano Ne dharna 11 December 2019 ko Shuru kiya tha Jab Dharm ke Aadhar per nagrikta Dene Wale Kanoon ko Sansad ke donon Sajna main Pass kar diya gaya tha. Is Kanoon ke bad Mein Khule Aasman Ke Neeche Shuru hue is dharna Pradarshan Ne vaishvik Media ka bhi Dhyan Kiya Jata aur bilkis Bano Shaheen Bagh ki Dadi ke naam se mashhur ho gai Thi.
Bilkis Dadi se baat kar rahi thi aur Sabhi sawalon Ke jawab de rahi thi. angreji Akbar Indian Express se Bilkis Bano ne January mein kaha tha ki vah Budhi ho chuki hain aur virodh Pradarshan apne liye Nahin balki Apne bacchon ke liye kar rahi hain 26 January ko Shaheen Bagh ka dharna Sthal par Tiranga fahraya tha Jise dekhne ke liye hajaron Logon ki Sankheya me Log Aaya The. Unka Sath dene ke liye jaati aur Dharmik bhedbhav Ka Shikar Bane Rohith vemula aur Junaid Khan ki maa bhi pahunchi Thi.
February mein Shaheen Bagh dharna Sthal se 50 metre ki Duri per firing hui thi Bilkis Stage per maujud Thi Jagah pahunchi Jahan firing ki Gai Thi tab bilkis Ne Kaha Tha ki Banduk aur Goli unhen Dara Nahin sakti.
![]() |
Bilkis Dadi In America Time's Magazine |
Time Magazine ne PM Modi ko bhi Jagah De hai lekin Modi Ki aalochana bhi Ki Hai time ne kaha hai ki Narendra Modi Sarkar chala rahe hain jaise unhen Kisi Ki Parvah Nahin Hai Aur musalmanon Ko Khas Taur Par Nishana Banaya Hai. Time Ne Kaha Hai Hain Likha Hai Ki Duniya ka sabse Jivan loktantra Aur gehre andhere Mein Chala Gaya Hai.
COMMENTS